बारिश का मौसम है, भीगी आँखें मेरी
मेरे आँसुओं को साफ़ करदो, हो सके तो मुझे माफ़ करदो
एक ग़लती खुदा भी माफ़ कर देता है
तुम मेरे रब से कम नही, हो सके तो मुझे माफ़ करदो
तुम्हारे बिना ज़िंदगी मौत से भी बत्तर है सनम
या तो मौत देदो या फिर हो सके तो माफ़ करदो
जीने का हर मक़सद खो दिया मैने तुम बिन
वापस अजाओ, हो सके तो मुझे माफ़ करदो
मानता हूँ बहुत बुरा हूँ मैं
लेकिन फिर भी तुमसे जुड़ा हूँ मैं
वादा है फिर ना कभी रुलाऊँगा तुम्हें
मेरे हाथ मे अपना हाथ करदो
हो सके तो मुझे माफ़ करदो
तुम मेरे लिए क़ुरान-ए-पाक से भी पाक हो
गीता और रामायण का तुम्हीं तो सार हो
ज़िंदगी की उलझनों मे शायद भटक गया था मैं
पर तुमसे पाक कुछ नही, ये कभी भी भुला नही था मैं
थप्पड़ देदो और सब साफ करदो
हो सके तो मुझे माफ़ कर दो
For those who can't read Hindi
Baarish ka mausam hai, bheegi aankhen meri
Mere aansuon ko saaf kardo, ho sake to mujhe maaf kardo
Ek galti khuda bhi maaf kar deta hai
Tum mere rabb se kam nahi, ho sake to mujhe maaf kardo
Tumhare bina zindagi maut se bhi battar hai sanam
Ya to maut dedo ya fir ho sake to maaf kardo
Jeene ka har maksad kho diya maine tum bin
Wapas ajao, ho sake to mujhe maaf kardo
Manta hu bahut bura hu main
Lekin fir bhi tumse jura hu main
Wada hai fir na kabhi rulauga tumhe
Mere haath me apna haath kardo
Ho sake to mujhe maaf kardo
Tum mere liye quraane-e-pak se bhi paak ho
Geeta aur Ramayan ka tumhi to saar ho
Zindagi ki uljhano me shayad bhatak gaya tha main
Par tumse paak kuch nahi, ye kabhi bhi bhula nahi tha main
Thappad dedo aur sab saaf kardo
Ho sake to mujhe maaf kar do